Ghabraye Gi Zainab
Ghabraye Gi Zainab (S.A)
Ghabraey Gi Zainab
Bhaiya tumhain ghar ja k
Kahan paey gi Zainab
Ghabraey Gi Zainab
Kaisa ye bhara ghar hua
barbad Ilahi
Kya aai tabahi
Ab iss ko na abaad
Kabhi paey gi Zainab
Ghabraey Gi Zainab
Ghar Ja k kisay dekhe gi
Qasim hain na abaad
Akbar se bhi hai aas
Apne Ali Asghar ko
Kahan paey hi Zainab
Ghabraey Gi Zainab
Poochain ge jo sab log
K bazu pe hua kya
Ye neel hai kesa?
Kis kis ko nishan rassi k
Dikhlaey gi Zainab
Ghabraey Gi Zainab
Phhat jaey ga
Bas dekh k he
Ghar ko kaleja
Yaad aao ge bhaiya
Dil dhoonde ga tum ko
To kahan paey gi Zainab
Ghabraey Gi Zainab
Be parda hui
Qaid bhi kha harm uthhai
Aur maut na aai
Kya jaaniye kya kya abhi
Dukh paey gi Zainab
Ghabraey Gi Zainab (S.A)
DiL
No comments:
Post a Comment