Sunday 18 August 2013

Mein to Kuch Bhi Nahin

Aap, aap kya jaane mujhko samajte hai kya?
Main to kuch bhi nahi.

Is kadr pyar itni badi bheed ka main rakhunga kahan?
is kadr pyar rakhne ke kaabil nahi

Mera dil meri jaan
mujhko itni mohabbat na do doston
mujhko itni mohabbat na do doston

Soch lo doston
is qadr pyar kaise sambhalunga main
Main to kuch bhi nahi

Pyar .. Pyar ik shaks ka bhi agar mil sake to badi cheez hai zindagi ke liye
Aadmi ko magar ye bhi milta nahi ye bhi milta nahi.

Mujhko itni mohabbat mili aapse .. Mujhko itni mohabbat mili aapse .. ye mera hak nahi meri takdeer hai
main zamaane ki nazron main kuch bhi na tha .. main zamaane ki nazron main kuch bhi na tha
meri aankhon main ab tak woh tasveer hai.

Is mohabbat ke badle, main kya nazar doon
Main to kuch bhi nahi.

Izzatain shohratain chahatain ulfatain
koi bhi cheez duniya main rahti nahi
aaj main hoon jahan kal koi aur tha .. aaj main hoon jahan kal koi aur tha
Ye bhi ek daur hai woh bhi ek daur tha

Aaj itni mohabbat na do doston .. Aaj itni mohabbat na do doston
ki mere kal ki khatir na kuch bhi rahe

Aaj ka pyar thoda bacha kar rakho .. Aaj ka pyar thoda bacha kar rakho
mere kal ke liye

Kal – kal jo gumnaam hai .. kal jo sunsaan hai .. kal jo anjaan hai ..kal jo veeran hai
Main to kuch bhi nahi hoon .. Main to kuch bhi nahi

- Sahir Ludhianvi.

No comments:

Post a Comment